sikandar hun talash-e-ab-e-haiwan roz karta hun abhi naqsh-o-nigar-e-zindagi mein rang bharta hun laga kar sab lahu aakhir hue dakhil shahidon mein main apni lash raste se hatane tak se darta hun parai aag gar hoti to kab ki jal bujhi hoti main hanste khelte mauj-e-hawadis se guzarta hun yaqinan maut ke har aks par wo khak dalega dua se jis ki main ab tak na jita hun na marta hun kabhi meri talab kachche ghade par par utarti hai kabhi mahfuz kashti mein safar karne se darta hun tumhaara izn ho hasil to dariya rasta denge jahan firaun duba tha wahin pe par utra hun 'farid' us ki talab mujh ko jhankti hai kuen aksar wo chehra jis ki chahat mein main kya kya kar guzarta hun