dard dil ka ayan nahin hota hum se gham ka bayan nahin hota kaise samjhaen ahl-e-mahfil ko har jagah imtihan nahin hota guzri baaton ko yaad karne se wo fasana bayan nahin hota gham-zadon ko tasalliyan de kar koi jaanan-e-jaan nahin hota kahne wale to baat kah ke gae dil se aansu rawan nahin hota bebasi rah ki qadam roke rahbari ka nishan nahin hota dukh wahan se bhi hum ko milte hain jis jagah se guman nahin hota us se kya gham bayan karen apna sun ke jo mehrban nahin hota kyon satate ho gham-zadon ko 'ada' dil tumhaara tapan nahin hota