apni tanhaiyon pe rote hain

apni tanhaiyon pe rote hain
zakhm-e-dil roz apne dhote hain

yaad-e-mazi ko zabt karte hain
aur kabhi haal-e-gham samote hain

wo tasawwur mein mere hain har dam
jo mere pas bhi na hote hain

lamhe gin-gin ke din guzarta hai
raat bhar hum kabhi na sote hain

gir rahe hain jo mere daman par
qatre khun-e-jigar ke hote hain

koi samjhae ja ke un ko zara
kyon wo tir-e-sitam chubhote hain

na samajhte hue mere gham ko
kashti-e-arzu dubote hain

nazr karne ko kuchh nahin hai 'ada'
aansuon ki ladi pirote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close