dard-e-aghaz-e-mohabbat ka ab anjam nahin zindagi kya hai agar maut ka paigham nahin kijiye ghaur to har lazzat-e-duniya hai fareb kaun dana hai yahan par jo tah-e-dam nahin hai tanazzul ki zamane ne taraqqi ki hai kufr wo kufr ab islam wo islam nahin kaun aazad nahin halqa-bagoshon mein tere naqsh kis dil ke nagine pe tera nam nahin na-rasida hai tera mewa-e-jannat zahid pukhta maghzon ko talash-e-samr-e-kham nahin yahi jannat hai jo hasil ho sukun-e-khatir aur dozakh yahi duniya agar aaram nahin sher-goi ke liye bas wahi mauzun hai 'safi' jis ko juz fikr-e-sukhan aur koi kaam nahin