faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak tarik hai insan ka anjam abhi tak maikhane mein hai tishna-labi aam abhi tak gardish mein mohabbat ke nahin jam abhi tak chhina hai sukun dahr ka arbab-e-khirad ne hain ahl-e-junun morid-e-ilzam abhi tak wamanda-e-manzil hai jo ai rah-raw-e-shauq shayad hai tera zauq-e-talab kham abhi tak is duar-e-sukun soz-o-pur-ashob mein ai dost mayus nahin hai dil-e-nakaam abhi tak rukhsat hua go daur-e-khizan fasl-e-gul aai gulshan ke wahi hain sahar-o-sham abhi tak pahuncha to bashar rifat-e-mirrikh-o-qamar par qabu mein nahin gardish-e-ayyam abhi tak duniya ne jise rifat-e-faran se suna tha hai amn ka zamin wahi paigham abhi tak go tabish-e-anwar se khira hain nigahen hai subh ke rukh par asar-e-sham abhi tak nadim to hain wo qatl pe arbab-e-wafa ke lekin sar-e-fihrist hain kuchh nam abhi tak saqi tere maikhane ki tanzim-e-ghalat par sunte hain ki rindon mein hai kohram abhi tak dhabba nahin go daman-e-tahzib pe lekin milte hain yahan banda-e-be-dam abhi tak muddat hui kuchh rabt nahin sher-o-sukhan se hota hai mere qalb ko ilham abhi tak is par bhi nigah-e-karam ai fatir-e-hasti 'zauqi' hai rahin-e-gham-o-alam abhi tak