dard-e-dil jaan ka aazar hai main jaanta hun

dard-e-dil jaan ka aazar hai main jaanta hun
aur allah madad-gar hai main jaanta hun

main bina kalima padhe bhi to musalman thahra
han mere dosh pe zunnar hai main jaanta hun

ek ek harf mahakne laga phulon ki tarah
ye teri garmi-e-guftar hai main jaanta hun

rehn rakkhe jo meri qaum ke mustaqbil ko
wo meri qaum ka sardar hai main jaanta hun

zulm ke shahr ki sachchaiyan likhne walo
chehra chehra yahan akhbar hai main jaanta hun

meri koshish se tere husn ki sari tafsir
chand lafzon mein giraftar hai main jaanta hun

jis ko pane mein ganwa di hai kai sal ki nind
ab wahi bar-sar-e-paikar hai main jaanta hun

teri duniya mein to aae hain payambar lakhon
kaun is fauj ka sardar hai main jaanta hun

hansti-gati hui duniya ki tabahi ka sabab
hawas-e-dirham-o-dinar hai main jaanta hun

tut jata hai har ek jal yahan nafrat ka
ishq ke dam mein sansar hai main jaanta hun

bhagna chahun bhi tujh se to kahan tak bhagun
har taraf tu hi numudar hai main jaanta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close