rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri jab khud us ko na thi darkar shanasai meri ye meri chiz hai so is ka bharosa hai mujhe khud mere kaam na aaegi masihai meri us ne ek bar to jhanka bhi tha mujh mein lekin us se dekhi na gai wusat-e-tanhai meri tum ye kya soch ke guzri thi mere mazi se tum ye kya soch ke shadabi utha lai meri bahar-e-payab samajh ke yahan utro na abhi mera dil khud bhi nahin jaanta gahrai meri teri khushbu teri tasir juda hai mujh se teri mitti se na ho paegi bharpai meri