dard-e-dil paida karen ya dard-e-sar paida karen meri baaten jaane un par kya asar paida karen zindagi un ki hai jo gulshan mein apne waste aashiyan ba-wasf-e-sad-barq-o-sharar paida karen aaiye hum rahbar-o-rahzan se ho kar be-niyaz manzil-e-maqsud tak khud rahguzar paida karen aa ki phir de kar payam-e-nau mazaq-e-did ko har nazar mein ek duniya-e-digar paida karen khul hi jaegi haqiqat aalam-e-azdad ki dida-e-dil imtiyaz-e-khair-o-shar paida karen un ko pa kar khud ko kho dena to hai ek aam baat un ko pa kar khud ko pane ka hunar paida karen aah-e-be-tasir mein 'talib' asar aa jaega dard-e-dil paida karen dard-e-jigar paida karen