dard-e-dil roen kis ummid pe begane se

dard-e-dil roen kis ummid pe begane se
subh hone ki nahin yas is afsane se

koi itna bhi nahin aap se ghibat hi kare
kante padte hain zaban mein mere afsane se

dast-e-gustakh se mumkin nahin aaraish-e-husn
gesu-e-yar sanwarne ke nahin shane se

daman-e-baad-e-bahaari hai gareban pe nisar
aati hai bu-e-mohabbat tere diwane se

phir wahi kucha wahi dar wahi sauda wahi sar
khinch laya hai ye dil phir mujhe virane se

aaj hi chhute jo kal chhutta ho ye dair-e-kharab
wahshat-abaad-e-jahan kam nahin virane se

hawas-e-alam-e-baala ne kiya hai dil tang
ruh ghabra gai ab jism ke kashane se

apni parchhain se diwanon ko nafrat hi rahi
jite-ji nikle na zindan ke siyah-khane se

husn-e-mani ke jo shaida hain udhar kya dekhen
surat-e-abaad jahan kam nahin virane se

jaan-e-man marifat us husn ki aasan nahin
dad kya chahte ho tum kisi begane se

kaifiyyat se kabhi khali nahin dil maston ka
hu-ba-hu milta hai saqi tere paimane se

saqiya dil ki hawas mit na saki piri mein
pyas bujhti nahin tute hue paimane se

aag mein kud pada dil ki lagi wo shai hai
aatish-e-shauq ko puchhe koi parwane se

aur parde ki mulaqat karegi andher
shama kyun chhupti hai fanus mein parwane se

naseha hai koi aisa ki sambhaale mujh ko
lad gai aankh meri phir kisi mastane se

dur se dekhne ke 'yas' gunahgar hain bas
aashna tak na hue lab kabhi paimane se

jam labrez hua hai kisi mahjur ka aaj
bu-e-khun aati hai saqi tere paimane se

pahle sargoshiyan thin chha gaya ab sannata
bazm mein subh hui 'yas' ke afsane se

masnad-e-atish-e-maghfur mubarak ho 'yas'
aae sannate mein 'ghaalib' tere afsane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close