dard-e-furqat se jo bhi ghabrae

dard-e-furqat se jo bhi ghabrae
ishq us ko kabhi na ras aae

baat hi ham-nafas kuchh aisi thi
ja ke mahfil se hum jo laut aae

us nasheman ki shan kya hogi
barq rah rah ke jis pe lahrae

raushni ka nishan nahin milta
har taraf zulmaton ke hain sae

tera dar chhod kar ai jaan-e-wafa
koi jae to phir kahan jae

ya-khuda umr ho daraaz us ki
dushmani ki jo aag bhadkae

khwab mein un ke aastane par
sajda-e-shauq hum guzar aae

jaane kya ho gaya mujhe 'anjum'
aankh bhar aai jab wo yaad aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close