choT khata hun muskuraata hun

chot khata hun muskuraata hun
dard-e-ulfat magar chhupata hun

un ke aane ka aaj wada hai
aarzuon ka ghar sajata hun

sehn-e-gulshan mein kuchh ujala ho
aashiyan is liye jalata hun

kargar ho saken na tadbiren
ab muqaddar ko aazmata hun

jis jagah bhi guzar ho wahshat mein
ek na ek naqsh chhod jata hun

main hun 'anjum' zamin par lekin
aasman par bhi jagmagata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close