dard-e-musalsal se aahon mein paida wo tasir hui aksar chaaragaron ki haalat mujh se siwa gambhir hui kya jaane kyun mujh se meri bargashta taqdir hui mamlikat-e-aish aankh jhapakte hi gham ki jagir hui us ne mere shisha-e-dil ko dekh ke kyun munh mod liya shayad is aaine mein us ko zahir koi lakir hui jab bhi likkha haal-e-dil-e-muztar main ne us ko raat gae ta-ba-sahar ashk-afshani se zaea wo tahrir hui badhti jati hai duri-e-manzil jab se junun ne chhoda sath ab to khirad har gam par apne pairon ki zanjir hui mujh ko ata karte wo yaqinan meri talab se siwa lekin khuddari mein hath na phaila sharm jo daman-gir hui kis ko khabar hai un ki gali mein kitne dilon ka khun hua ranai mein un ki gali jab wadi-e-kashmir hui un se karun izhaar-e-tamanna socha rakh kar uzr-e-junun lekin wo bhi ras na aaya la-hasil tadbir hui tap-tap aankh se aansu tapke 'ajiz' aah-e-sard ke sath mere samne nazr-e-atish jab meri taswir hui