ai husn jab se raaz tera pa gae hain hum hasti se apni aur qarib aa gae hain hum yun bhi hua ki jaan ganwa di tere liye yun bhi hua ki tujh se bhi katra gae hain hum rah-e-wafa mein aise maqamat bhi mile apna sar-e-niyaz bhi thukra gae hain hum yaadash-ba-khair ek gul-e-shadab the kabhi aisi khizan padi hai ki kumhla gae hain hum subh-e-visal thi to tabiat thi bagh bagh sham-e-firaq aai to sanwla gae hain hum insan teri fath pe ab bhi yaqin hai go apni zindagi se bhi ghabra gae hain hum mahrumiyon ka bar-e-giran dosh par liye ai maut sun ki tere qarib aa gae hain hum apne subu mein talkhi-e-dauran samet kar ba-sad-khulus nosh bhi farma gae hain hum tarikh-e-inqilab-e-zamana se puchh lo jab jab sada mili sar-e-dar aa gae hain hum 'ajmal' jab un ki bazm mein chhedi hai dil ki baat apne to khair ghair ko tadpa gae hain hum