dard-wirasat pa lene se nam nahin chal sakta ishq mein baba ek janam se kaam nahin chal sakta bahut dinon se mujh mein hai kaifiyyat rone wali dard-e-farawan sine mein kohram nahin chal sakta tohmat-e-ishq munasib hai aur hum par jachti hai hum aison par aur koi ilzam nahin chal sakta cham cham karte husn ki tum jo ashrafiyan lae ho is mizan mein ye duniyawi dam nahin chal sakta aankh jhapakne ki mohlat bhi kam milti hai 'anjum' faqr mein koi tan-asan do-gam nahin chal sakta