charagh hath mein ho to hawa musibat hai so mujh mariz-e-ana ko shifa musibat hai sahulaten to mujhe ras hi nahin aatin qubuliyat ki ghadi mein dua musibat hai uthae phirta raha main bahut mohabbat ko phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai main aaj dub chala ret ke samundar mein chahaar-samt ye raqs-e-hawa musibat hai khud-agahi ka jo mujh par nuzul jari hua main kya kahun ki ye rahmat hai ya musibat hai bahut jacha hai ye be-dagh pairahan mujh par go khak-zad ko aisi qaba musibat hai main kam hi rahta hun 'anjum' khuda ki sohbat mein gunahgar ko khauf-e-khuda musibat hai