dard had se guzar na jae kahin aa ki bimar mar na jae kahin hosh kar hosh kar mariz-e-alam zakhm dil ka ye bhar na jae kahin ek hi dar se mil gaya sab kuchh mangne dar-ba-dar na jae kahin aap ko dekhne ke ba'd nazar ab idhar aur udhar na jae kahin tira-bakhti pe mat hanso meri phir muqaddar sanwar na jae kahin apne gesu sanwar mauj-e-'nasim' zulf khul kar bikhar na jae kahin