makin tha wo to mohabbat ki bargah tha dil

makin tha wo to mohabbat ki bargah tha dil
phir us ke ba'd koi khana-e-tabah tha dil

yahan bhi aa ke gham-e-yar ne thikana kiya
mere liye to yahi ek panah-gah tha dil

ba-zid isi pe tha chalna hai koi jaanan ko
jo main ne rasta badla tha sadd-e-rah tha dil

bana liya hai ise bhi himayati us ne
wagar na pahle bada mera khair-khwah tha dil

sitam to ye hai ki us ka hi nam-lewa tha
jab ikhtiyar mein mere bhi gah-gah tha dil

malal hota bhi kya us ke faisle pe mujhe
zamana ek taraf tha mera gawah tha dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close