dard hai ki naghma hai faisla kiya jae yani dil ki dhadkan par ghaur kar liya jae aap kitne sada hain chahte hain bas itna zulm ke andhere ko raat kah diya jae aaj sab hain be-qimat girya bhi tabassum bhi dil mein hans liya jae dil mein ro liya jae be-hisi ki duniya se do sawal mere bhi kab talak jiya jae aur kyon jiya jae ab to faqr-o-faqa ki aabru isi se hai tar tar daman ko kyon bhala siya jae