main intiha-e-yas mein tanha khada raha saya mera sharik-e-safar dhundhta raha phaili thi chaaron samt siyahi ajib si main hath mein charagh liye ghumta raha yaad us ki dur mujh ko sar-e-sham le gai main sari raat apne liye jagta raha khud ko samet lene ka anjam ye hua main raste pe sang ki surat pada raha kaghaz ki naw gahre samundar mein chhod kar main us ke dubne ka saman dekhta raha thandi hawa ke lams ka ehsas tha ajib main der tak shajar ki tarah jhumta raha