dard hote hain kai dil mein chhupane ke liye sab ke sab aansu nahin hote bahane ke liye umr tanha kat di wada nibhane ke liye ahd bandha tha kisi ne aazmane ke liye ye qafas hai ghar ki zebaish badhane ke liye ye parinde to nahin hain aashiyane ke liye kuchh diye diwar par rakhne hain waqt-e-intizar kuchh diye laya hun palkon par jalane ke liye wo ba-zahir to mila tha ek lamhe ko 'adim' umr sari chahiye us ko bhulane ke liye log zer-e-khak bhi to dub jate hain 'adim' ek samundar hi nahin hai dub jaane ke liye tu pas-e-khanda-labi aahon ki aawazen to sun ye hansi to aai hai aansu chhupane ke liye koi gham ho koi dukh ho dard koi ho 'adim' muskurana pad hi jata hai zamane ke liye