dard itna bhi nahin hai ki chhupa bhi na sakun bojh aisa bhi nahin hai ki utha bhi na sakun yun samai hai in aankhon mein bata bhi na sakun dil ki diwar pe taswir saja bhi na sakun khairiyat puchhte rahte ho magar haal ye hai us ki aawaz mein aawaz mila bhi na sakun aa mere pas zara sun ke bata kahti hai kya dil ki dhadkan jo sar-e-am suna bhi na sakun jabr dekha tha magar aisa nahin dekha tha aise pahre hain ki palken main utha bhi na sakun ungliyan chaak hua karti thin pahle 'sajid' ab gae hath ki main hath mila bhi na sakun