hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga chalenge sath to duniya ka samna hoga wo ek shakhs jo patthar utha ke dauda tha zarur khwab ki kadiyan mila raha hoga hamare baad ek aisa bhi daur aaega wo ajnabi hi rahega jo tisra hoga khizan-pasand hamein dhundne ko nikle hain hamare dard ka qissa kahin suna hoga jo har qadam pe mere sath sath rahta tha zarur koi na koi to wasta hoga nahin hai khauf koi rahbaron se 'ashufta' hamare sath shikaston ka qafila hoga