dard jitne hain wahi bais-e-darman honge

dard jitne hain wahi bais-e-darman honge
chaaragar tere na sharminda-e-ehsan honge

dekhna gesu-e-jaanan bhi pareshan honge
mausam-e-gul mein jo hum chaak-gareban honge

yun tere ishq mein hum be-sar-o-saman honge
apni hasti ke tasawwur se gurezan honge

dastan ghair ki rangin banane wale
dekhna mere fasane ke bhi unwan honge

na rahega rah-e-ulfat mein khudi ka ehsas
talab-e-husn mein jab be-sar-o-saman honge

hasrat-o-yas ke mare hain sabhi to ghunche
baghban ab na chaman mein gul-e-khandan honge

yahi ghamze yahi wade yahi andaz-e-wafa
yahi ek roz meri maut ke saman honge

aaj hanste hain jo diwangi-e-dil pe meri
ek din khud bhi wo angusht-ba-dandan honge

raat jo bazm-e-kharabaat mein madhosh hue
mohtasib hum ko yaqin hai wo musalman honge

shauq-e-takmil-e-junun mujh ko liye jata hai
honge ab zer-e-qadam jitne bayaban honge

phir wahi wahshat-e-dil josh mein aai 'aslam'
phir mere munis-o-gham-khwar pareshan honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close