aap aae to dilkashi aai lab pe gulshan ke bhi hansi aai tum se pahle yahan andhera tha tum jo aae to raushni aai dub jatin hayat ki nabzen un ke aane se zindagi aai sare aalam ka bakht raushan hai meri qismat mein tirgi aai dekh kar mujh ko aaj kyon 'aslam' zindagi ruth kar chali aai