dard jo dil mein hai chhupana hai chashm-e-pur-nam ko aazmana hai hasraten hain dhuan dhuan har-su khwahishon ko magar bachana hai apni palkon ko bandh kar rakhiye qimti sa yahan khazana hai aankhon aankhon mein ho gain baaten aur chup-chap ye zamana hai duniya walon se hum nahin darte apni thokar pe ye zamana hai raste kab badal len wo apne husn walon ka kya thikana hai 'saif' tanhaiyon se darta hun be-wafaon ka ye zamana hai