dard ka gahra samundar aur main zindagi ka sar pe patthar aur main is taraf shishe hi shishe aur wo us taraf patthar hi patthar aur main hai yahi ahd-e-junun ki yaadgar ek kucha ek patthar aur main tut jaane ko hain sab jam-o-subu ek laghzish ek thokar aur main ban gaya tarikh ka khunin waraq pusht mein paiwast khanjar aur main ye musallas ahd ki tarikh hai ek qatil ek khanjar aur main ye musallas dekh kya lata hai rang mera sar mera hi patthar aur main