duriyan hi duriyan hain qurbaton ke bawajud

duriyan hi duriyan hain qurbaton ke bawajud
ajnabi hain sab qaribi nisbaton ke bawajud

rang-o-bu se jaan to kaghaz mein pad sakti nahin
kaghzi gul kaghzi hain nikhaton ke bawajud

sakhti-e-sahra-nawardi hi masarrat-bakhsh hai
dil nahin lagta qafas mein rahaton ke bawajud

be-hisi be-ghairati bhi juzw-e-fitrat ban gai
hans raha hun anjuman mein zillaton ke bawajud

kar diya badnam yusuf se farishte ko magar
pak-daman hai zulekha tohmaton ke bawajud

khol kar baitha hun main ab bhi mohabbat ki dukan
nafraton ke faede ki sanaton ke bawajud

barq se dar ke nasheman se na ud kar jaiye
baithe rahiye shakh-e-gul par dahshaton ke bawajud

zehn mein barpa hai 'kausar' mahsharistan-e-khayal
kab hai tanhai mayassar khalwaton ke bawajud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close