dard ka mere yaqin aap karen ya na karen arz itni hai ki is raaz ka charcha na karen lakh ghafil sahi par aise bhi hum kor nahin ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ara na karen aql-o-danish se to kuchh kaam na nikla apna kab tak aakhir dil-e-diwana ka kahna na karen wo nigahen ajab andaz se hain ishwa-farosh gham-e-pinhan ko hamare kahin ruswa na karen tere aashufta-sar aise bhi nahin saudai ki dil-o-din ke liye zulf ka sauda na karen main ne behuda tawaqqo ki saza pai hai kuchh khayal aap meri hasrat-e-dil ka na karen mere armanon ko kash itni samajh ho 'wahshat' ki un aankhon se murawwat ka taqaza na karen