dekhna wo girya-e-hasrat-maal aa hi gaya bekasi mein koi to pursan-e-haal aa hi gaya jurat-e-arz-e-tamanna ka sabab wo khud hue mehrban dekha unhen lab par sawal aa hi gaya dil ko hum kab tak bachae rakhte har aaseb se thes aakhir lag gai shishe mein baal aa hi gaya bewafai se wafa ka dete wo kab tak jawab dil hi to hai rafta rafta infial aa hi gaya khud-faramoshi ki lazzat na-mukammal rah gai bawajud-e-be-khudi tera khayal aa hi gaya ek muddat se nahin milta tha 'wahshat' ka pata le tere kuche mein wo aashufta-haal aa hi gaya