dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe

dard kam hone laga aao ki kuchh raat kate
gham ki miad badha jao ki kuchh raat kate

hijr mein aah-o-buka rasm-e-kohan hai lekin
aaj ye rasm hi doharao ki kuchh raat kate

yun to tum raushni-e-qalb-o-nazar ho lekin
aaj wo moajiza dikhlao ki kuchh raat kate

dil dukhata hai wo mil kar bhi magar aaj ki raat
isi be-dard ko le aao ki kuchh raat kate

dam ghuta jata hai afsurda-dili se yaro
koi afwah hi phailao ki kuchh raat kate

main bhi be-kar hun aur tum bhi ho viran bahut
dosto aaj na ghar jao ki kuchh raat kate

chhod aae ho sar-e-sham use kyun 'nasir'
use phir ghar se bala lao ki kuchh raat kate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close