tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten ab hone lagin un se khalwat mein mulaqaten har aan tasalli hai har lahza tashaffi hai har waqt hai dil-jui har dam hain mudaraaten mearaj ki si hasil sajdon mein hai kaifiyyat ek fasiq-o-fajir mein aur aisi karamaten baitha hua tauba ki tu khair manaya kar talti nahin yun 'jauhar' is des ki barsaten