dard karta hai safar aankh ke andar ki taraf ashk girte hain magar aankh ke andar ki taraf jis se kuchh log guzarte hain sar-e-qariya-e-jaan kahin khulta hai wo dar aankh ke andar ki taraf dil ke patal mein sau dard nazar aaenge jhank kuchh aur magar aankh ke andar ki taraf tu ne mizhgan pe jahan nam likha dekha tha usi kuche mein hai ghar aankh ke andar ki taraf mere dil se wo kabhi ja nahin sakta bahar koi aa jae agar aankh ke andar ki taraf ja nikalti hai kisi or jahan mein 'tariq' dil ki ek rahguzar aankh ke andar ki taraf