dil ko aazar lagana hi nahin hota hai ab tere dhyan mein jaana hi nahin hota hai saf-ba-saf der se palkon pe ruke hain aansu qafila aage rawana hi nahin hota hai mang leta hai dil-o-jaan wo hanste hanste aur mere pas bahana hi nahin hota hai mashwara karne ko jate the kabhi majnun se dasht mein ab koi dana hi nahin hota hai is qadar gard hai is aab-o-hawa mein har-su nakhl-e-ehsas tawana hi nahin hota hai hath aa jata hai us shakhs ke dariya 'tariq' jis ne sahra kabhi chhana hi nahin hota hai