dard ke chand ki taswir ghazal mein aae sher likkhun to ye tasir ghazal mein aae sunte aae hain bahut zikr hasin khwabon ka ab kisi khwab ki tabir ghazal mein aae un ke chehre ko main is tarah padha karta hun jaise gham ki koi tafsir ghazal mein aae khet khaliyan se jab sanwli surat laute surmai sham ki tanwir ghazal mein aae apne kirdar ka kuchh aks to jhalke 'anjum' aaine ki koi tahrir ghazal mein aae