bhatak jate hain rahbar rahbari mein kuchh aisi manzilen hain zindagi mein pata kaise mile us lapata ka jo gum rahta ho apne aap hi mein khabar-dar ai meri wahshat khabar-dar koi laghzish na ho diwangi mein na yunhi be-khudi mein gum hai koi nihan raaz-e-khudi hai be-khudi mein farishte bhi samajhne se hain qasir bashar kya hai libas-e-admi mein tumhein hai raushni par naz lekin nihan hai tirgi bhi raushni mein hasin takhil ki paikar-tarashi na ho 'kausar' to kya hai shaeri mein