dard ke khet mein muskan ugane wala kitna khush-zarf hai zakhmon ko chhupane wala dil mein ikhlas wafaon ki hai gathri sar par aadmi hai ye kisi aur zamane wala yaad aata raha ta-der safar mein mujh ko hath rah rah ke dariche se hilane wala aag kuchh aur gharon ko bhi jala dalegi sochta kash mere ghar ko jalane wala log chehron ko chhupate hue phirte hain 'nadim' shahr mein aaya hai aaina dikhane wala