lag gae barson jawabaat batane ke liye in khurafat ko ghar ghar se hatane ke liye kis qadar zahr piya zabt kiya hai main ne jo lagi aag hai sine mein chhupane ke liye aise bhi log bahut sare milenge tum ko har ghalat kaam kiya nam kamane ke liye khun-e-dil khun-e-jigar jaan talak nazr kiye kya nahin de ke gae log zamane ke liye dao par log laga dete hain har shai apni apne dushman ko faqat nicha dikhane ke liye kaun jata hai kisi tapte hue sahra mein apni tanhai ka ek jashn manane ke liye koshishen jari hain is daur ki har din ai 'latif' jitne jangal hain unhen shahr banane ke liye