dard ki aanch mein jalta hai ye ghar kya kije khwab hoti hai tamanna ki sahar kya kije hum bhi manus nahin dil ke andheron se abhi taer-e-shab bhi hai khole hue par kya kije dur manzil hai kadi dhup mein karna hai safar kat gae rah mein jitne the shajar kya kije wo gae waqt ki manind na lautega kabhi ab luta kar ye wafaon ke guhar kya kije be-gawahi ke bhanwar mein hai meri zat ki ab aankh ki jhil bhi hoti nahin tar kya kije barish-e-sang to be-wajh nahin hai 'abid' aa gaya mujh ko wafaon ka hunar kya kije