dhup ka bojh bhala main ne uthaya kab tha main to tanha tha meri zat ka saya kab tha itne manus hue gham se ki ab yaad nahin waqt ne dard ka ambar lagaya kab tha sham utri mere chehre pe to socha main ne din meri zist ke aangan mein samaya kab tha dard badhta hai to zakhmon se main karta hun sawal sang main ne kisi wahshi pe uthaya kab tha ab bhi hai subh meri aankh mein zakhmi zakhmi kaun kahta hai ki main shab ka sataya kab tha