dard ki dhup se chehre ko nikhar jaana tha aaina dekhne wale tujhe mar jaana tha rah mein aise nuqush-e-kaf-e-pa bhi aae main ne danista jinhen gard-e-safar jaana tha wahm-o-idrak ke har mod pe socha main ne tu kahan hai mere hamrah agar jaana tha aagahi zakhm-e-nazara na bani thi jab tak main ne har shakhs ko mahbub-e-nazar jaana tha qurbaten ret ki diwar hain gir sakti hain mujh ko khud apne hi sae mein thahar jaana tha tu ki wo tez hawa jis ki tamanna be-sud main ki wo khak jise khud hi bikhar jaana tha aankh viran sahi phir bhi andheron ko 'nasir' raushni ban ke mere dil mein utar jaana tha