dil ki mayus tamannaon ko mar jaane do dard ko aakhiri manzil se guzar jaane do main ne kab saghar-o-sahba se kiya hai inkar nashsha-e-baada-e-hasti to utar jaane do jis ki ai ahl-e-chaman ki hai lahu se tamir ab wo shiraaza-e-gulshan na bikhar jaane do chaar tinkon ki bhi tamir hai koi tamir fasl-e-gul aaegi rakh lenge bikhar jaane do lazzat-e-gham se tadapne mein maza aata hai lazzat-e-gham se tabiat meri bhar jaane do inqalab aaega koi ki bahaar aaegi khal-o-khad chehra-e-giti ke nikhar jaane do hum se badle hue tewar hain zamane ke 'safir' us ne dekhi hai hamari bhi nazar jaane do