dard ki diwar sar tak aa gai dil ki binai nazar tak aa gai ret par naqsh-e-qadam ko dhundhti zindagi sham-o-sahar tak aa gai raushni ka rang phika pad gaya tirgi diwar-o-dar tak aa gai subh chamki ya koi tara gira chandni si mere ghar tak aa gai aur honge jin ko manzil mil gai justuju tark-e-safar tak aa gai band darwaze pe khatka sa hua baat itni si khabar tak aa gai raat ke pichhle pahar yaadon ki dhup dhyan ke budhe shajar tak aa gai us ka nam aaya to kaliyan khil uthin baat phir shams-o-qamar tak aa gai