dil ke be-tartib virane ko ghar us ne kiya phir nizam-e-zindagi zer-o-zabar us ne kiya aas ke raushan diye rakh kar fasil-e-sham par raat ke andhe safar ko be-khatar us ne kiya ek us ke dam se har mausam hua rashk-e-bahaar ek shakh-e-arzu ko be-samar us ne kiya an-kahe lafzon ko bakhsha ek naya tarz-e-kalam an-bahe ashkon ko phir lal-o-gohar us ne kiya be-qarari thi jise sunne-sunane ke liye harf-e-shauq-e-be-karan ko mukhtasar us ne kiya khwab mein milna to goya roz ka mamul tha is anokhe khel ko yun mo'atabar us ne kiya umr-bhar jis ko nigahen dhundhti phirti rahen umr-bhar mere khayalon mein basar us ne kiya kar raha tha wo bhi tare tod kar lane ki baat be-sabab lamhon ka jadu be-asar us ne kiya kahkashan phirti rahi galiyon mein kis ko dhundhti log kahte hain mere ghar tak safar us ne kiya