dard ki ek lahr bal khati hai yun dil ke qarib mauj-e-sar-gashta uthe jis tarah sahil ke qarib ma-siwa-e-kar-ah-o-ashk kya hai ishq mein hai sawad-e-ab-o-atish dida-o-dil ke qarib dard mein dubi hui aati hai aawaz-e-jaras giriya-e-gum-gashtagi sunta hun manzil ke qarib aarzu nayaft ki hai silsila-dar-silsila hai numud-e-karb-e-la-hasil bhi hasil ke qarib kuchh to ai nazzargan-e-aish-e-sahil boliye kashtiyan kitni huin gharqab sahil ke qarib hai abhi wamandgi ko ek safar darpesh aur hai abhi uftad-e-manzil aur manzil ke qarib rang-e-hasrat ka tamasha dekhna tha gar tumhein raqs-e-akhir dekhte tum aa ke bismil ke qarib hain wo sab 'tishna' sar-e-manzil amir-e-karwan jo mile the karwan se aa ke manzil ke qarib