dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab sari chikhen rok leti hain sambhalne ke sabab dard ki nili ragen to shor karti hain bahut paikar-e-nazuk mein is dil ke machalne ke sabab dard ki nili ragen barfab bistar mein padi tut jati hain tere khwabon mein chalne ke sabab dard ki nili ragen umron ke nile pher ko zard karti jati hain sahra mein palne ke sabab dard ki nili ragen hathon mein do-shizaon ke chudiyan tak tod deti hain bikharne ke sabab dard ki nili ragen thandi hawa se ashk-rez surkh hoti rahti hain aansu nigalne ke sabab dard ki nili ragen 'nainan' samundar ban gain hijr ki raaton ka pahla chand dhalne ke sabab