dard-o-andoh mein thahra jo raha main hi hun rang-ru jis ke kabhu munh na chadha main hi hun jis pe karte ho sada jaur-o-jafa main hi hun phir bhi jis ko hai guman tum se wafa mein hi hun bad kaha main ne raqibon ko to taqsir hui kyun hai bakhsho bhi bhala sab mein bura main hi hun apne kuche mein fughan jis ki suno ho har raat wo jigar-e-sokhta o sina-jala main hi hun khar ko jin ne ladi moti ki kar dikhlaya us bayaban mein wo aabla-pa main hi hun lutf aane ka hai kya bas nahin ab tab-e-jafa itna aalam hai bhara jao na kya main hi hun ruk ke ji ek jahan dusre aalam ko gaya tan-e-tanha na tere gham mein hua main hi hun is ada ko to tak ek sair kar insaf karo wo bura haiga bhala dosto ya main hi hun main ye kahta tha ki dil jan ne liya kaun hai wo yak-ba-yak bol utha us taraf aa main hi hun jab kaha main ne ki tu hi hai to phir kahne laga kya karega tu mera dekhun to ja main hi hun sunte hi hans ke tak ek sochiyo kya tu hi tha jin ne shab ro ke sab ahwal kaha main hi hun 'mir' aawara-e-alam jo suna hai tu ne khak-aluda wo ai baad-e-saba main hi hun kasa-e-sar ko liye mangta didar phire 'mir' wo jaan se bezar gada main hi hun