zahid asir-e-gesu-e-jaanan na ho saka jo mutmain hua wo pareshan na ho saka qaid-e-khudi mein aadmi insan na ho saka zarra simat gaya to bayaban na ho saka daman tak aa ke chaak gareban bhi rah gaya andaza-e-bahaar-e-gulistan na ho saka khun-e-dil-o-jigar na tabassum bana na ashk mazmun-e-arzu koi unwan na ho saka marna to ek bar hua sahl bhi magar jina kisi tarah kabhi aasan na ho saka badhta hi ja raha hai zamane ka iztirab duniya ke dard ka koi darman na ho saka mustaqbil-e-hayat ke irfan se main 'nushur' is daur-e-pur-fareb ka insan na ho saka