dard-o-andoh mein Thahra jo raha main hi hun

dard-o-andoh mein thahra jo raha main hi hun
rang-ru jis ke kabhu munh na chadha main hi hun

jis pe karte ho sada jaur-o-jafa main hi hun
phir bhi jis ko hai guman tum se wafa mein hi hun

bad kaha main ne raqibon ko to taqsir hui
kyun hai bakhsho bhi bhala sab mein bura main hi hun

apne kuche mein fughan jis ki suno ho har raat
wo jigar-e-sokhta wa sina-jala main hi hun

khar ko jin ne ladi moti ki kar dikhlaya
us bayaban mein wo aabla-pa main hi hun

lutf aane ka hai kya bas nahin ab tab-e-jafa
itna aalam hai bhara jao na kya main hi hun

ruk ke ji ek jahan dusre aalam ko gaya
tan-e-tanha na tere gham mein hua main hi hun

is ada ko to tak ek sair kar insaf karo
wo bura haiga bhala dosto ya main hi hun

main ye kahta tha ki dil jan ne liya kaun hai wo
yak-ba-yak bol utha us taraf aa main hi hun

jab kaha main ne ki tu hi hai to phir kahne laga
kya karega tu mera dekhun to ja main hi hun

sunte hi hans ke tak ek sochiyo kya tu hi tha
jin ne shab ro ke sab ahwal kaha main hi hun

'mir' aawara-e-alam jo suna hai tu ne
khak-aluda wo ai baad-e-saba main hi hun

kasa-e-sar ko liye mangta didar phire
'mir' wo jaan se bezar gada main hi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close