dast-o-pa mare waqt-e-bismil tak hath pahuncha na pae qatil tak kaba pahuncha to kya hua ai shaikh sai kar tak pahunch kisi dil tak darpai mahmil us ke jaise jaras main bhi nalan hun sath manzil tak bujh gae hum charagh se bahar kahiyo a baad-e-shama mahfil tak na gaya 'mir' apni kashti se ek bhi takhta para sahil tak