dard-o-gham ya kisi khushi ki taraf ek ho jaun main kisi ki taraf gum na ho jaun in andheron mein mujh ko le jao raushni ki taraf ek surat ko dekhne ke baad main ne dekha nahin kisi ki taraf pyas dariyaon ki hai meri magar ek qatra hai tishnagi ki taraf wo to mahlon mein rahne wale hain wo na dekhenge jhonpdi ki taraf mujh ko ranjur hi nazar aai jab bhi dekha hai zindagi ki taraf